Monday, October 22, 2018

MAQSAD



AK shaks nai bari kamal ki baat ki hai hr ak insaan 2 dafa paida hota ak to us ki paidaish ka din dosra wo din jb use pata chale k wo paida kis liye hoa hai!
Mai is baat sai thora sa iktallaf rakhta or wo ye hai k ak dafa to sb paida ho jate hain mgr dosri dafa koi koi hota hai.
Aj ki masroof zindagi mai jb ye soochnai k waqt ata hai k mere zindagi ka maqsad kya hai to us waqt insaan ko kitaboon k boch tale daba dya jata hai or jb taleem mukamil hote hai to job k maidaan saj jata hai or khiladi phr dorna shuru kar dete hain, or silsila yun hi chalta rehta hai.
Ye to hogae wo khamiyaan jis ki waja sai hamara taleemi nizaam ak behtreen taleemi nizaam nai hai, mgr is ka matlab ye bilkul nai hai k aap apni naakami ka sara malba taleemi nizaam par daal dain.
Hm mai sai har ak shaks khud ko har rooz din mai kai dafa ayeenai mai dakhta hai magr phr bhe khud sai bilkul nawakif hai wo is lye k wo ye to dkh laita hai mai kya hn par ye nai dekh pata mai kya hosakta hn!
Insaan hamesha sai bhot bai sabra raha hai,us ko jald sai jald nataij chye hote hain,wo ye nai samjta ye har rooz ki jaddojehat hai jo kamyaabi bn k saamnai aate hai.ak baat yaad rakhen jungle ak din mai nai banta!
Aksar ye baat ki jati hai k bhot sochnai k baad bhe samj nai ata k zindagi ka maqsad kya hai? Is k sida sa jawaab ye hai k wo kaam karo jis mai tmhe muafzae ki fikar na ho, jis ko karte hoe to time and space sai out hojao. kaam wo hota hai jis mai ibaadt k maza aaye.
Ak lambi fehrist un bewakoofon ki bhe hai jo field mai scope dekhte hain.misaal k tor pai ak min k lye tasavor k jea ghalib agr field ka scope dekh kar field choose karta to kya aj wo 200 saal baad bhe hamre darmyaan zinda hota?
Ak mashoor painter picasso likhta hai,
When I was a child my mother said to me if you become a soldier, you will be a general, if you become a monk you will end up as a pope instead I become a painter and wound up as Picasso!
Akhir mai aap sai ak sawaal kar na hai or wo ye k,
Is dunya mai 2 tarha k log hote hain pehle wo jo btate hain, wo kya wajuhaat theen jin ki waja sai wo nakaam hoe. or dosre wo hote hain jo btate hain k bhot mushkilaat theen phr bhe wo kamyaab hoe!
Mera sawaal ye hai k in mai sai aap kon hain?

MAQSAD

AK shaks nai bari kamal ki baat ki hai hr ak insaan 2 dafa paida hota ak to us ki paidaish ka din dosra wo din jb use pata chale k wo pa...